Dahej

Ho rahi phir ajj ek beti wida Chuta ghar,  Ho rha uska angan juda

Utar gya baap ke kandhe ka bojh
Keh rahe hai samaj ke log
Aankhe uski bhi nam hai
Dekh kr logo ki soch

Abhi to bachpan beeta tha
Maa ka daman abhi to chuta tha
Abhi to pehli roti thi banai
Abhi to udna seekha tha

Q judaai hai banai
Samaj mei baanti jati hai meethai
Aisi bhi kya pratha banai
Mujhe bhi kuch samjhao maai

Baap maa ko chor chali
Sare rishte tod chali
Kl tk thi jo nanhi kali
Ajj kisi or ke ghar chali

Upper se wo dahej ka bhaar
Kaise akele sahegi waar
Shaadi krke kya sach mei
Kam hota kisi beti ka pyaar

Ab tk to wo sehti chali
Par us waqt khud ko rok na saki
Jb use insaano ne
Taula ghar ke samano se

Kaise rok ti khud ko bechari
Dahej ka bojh tha bhut bhaari
Q bech diya baba ne mujhko
Bitiya rani kehte the jisko

Dahej ke liye ajj jala di gai
Kl tk thi jo nanhi kali
Us baap se pucho jisne bojh uthaya
Doli mei nhi bitiya ke cheeta ko jalaya

Ajj kaha hai wo samaj
Chup q baith hai wo ajj
Jisne taula usko har dum
Chup kar sahti thi wo har gham

Band karo ye dahej ka dhanda
Wrna har baap ko dena hoga kandha
Betiya hai jb naazo se pali
To q har baar uski cheeta jali

Puch rahi ek beti ajj
Kya jawab dega samaj

Written by
Takhsis Naaz

One thought on “Dahej

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.